Pata nahi yaar zindagi aisi hai ya main aise hi jee raha hun..
Pata nahi yaar zindagi aisi hai ya
main aise hi jee raha hun..
Bachpan se aaj tak pyar ki talash
main bhatak raha hun..
Pata nahi yaar sach main pyar mil
nahi rahi hai ya main samajh nahi pa raha hun..
Jab se samjhna sikha tab se jisko
bhi chahun usse dur ho raha hun..
Pata nahi yaar zindagi aisi hai ya
main aise hi jee raha hun..
Najane kyun bhatakta raha idhar
udhar bin wajah ke..
Bas dil behlane ke liye bolta hun
mujhe sab kuch mil gaya..
Phir bhi main kyun dusro ke piche
bhagta hun..
Thoda sa ehsaas ke liye..
Jhuta hi sahi tasalli deta hun khudko
ki sab sahi hai...
Pata nahi yaar zindagi aisi hai ya
main aise hi jee raha hun..
Bolte hai mujhe main phekta bahut
hun..
Main bhi manu main phekta bahut
hun..
Par koi nahi sunna chahta main aisa
kyun ho..
Are sunlo mere paas bhi kuch nahi
hai …
phir bhi tumhe dar na lage thoda sa
himmat ke liye bol deta hun...
Phir main pura karne ke liye apni
jaan Laga deta hun...
Pata nahi main aise kyun karta hun..
Pata nahi yaar zindagi aisi hai ya main
aise hi jee raha hun..
Shayad tumhe lage main pagal hun..
Han main hun pagal..
Bas koi mujhe apna kahe isliye..
Koi mujhe gale lagake bole ke kuch
bhi karo main saath hun isliye..
Koi mujhe subhe good morning ke
saath bole ke zindagi apne marji se jio..
Aur apne marji main thoda mujhe bhi
samil karo..
Pata nahi main aise kyun hun..
Pata nahi yaar zindagi aisi hai ya
main aise hi jee raha hun..
Mere zindagi main mushkile bahut ayi
hai..
Han manta hun sabke zindagi main ati
hai..
Lekin meri zindagi main hamesa main
akela hi hota hun..
Phir bhi main khada hota hun..
Aur phir khudko sambhalta hua age
badhta hun..
Koshis to bahut karta hun ki kaash
koi saath rahe..
Ate to bahut hai magar kahin bich
raste pe chod jate hai..
Pata nahi yaar zindagi aisi hai ya
main aise hi jee raha hun..
Comments
Post a Comment