Pata nahi yaar zindagi aisi hai ya main aise hi jee raha hun..
Pata nahi yaar zindagi aisi hai ya main aise hi jee raha hun.. Bachpan se aaj tak pyar ki talash main bhatak raha hun.. Pata nahi yaar sach main pyar mil nahi rahi hai ya main samajh nahi pa raha hun.. Jab se samjhna sikha tab se jisko bhi chahun usse dur ho raha hun.. Pata nahi yaar zindagi aisi hai ya main aise hi jee raha hun.. Najane kyun bhatakta raha idhar udhar bin wajah ke.. Bas dil behlane ke liye bolta hun mujhe sab kuch mil gaya.. Phir bhi main kyun dusro ke piche bhagta hun.. Thoda sa ehsaas ke liye.. Jhuta hi sahi tasalli deta hun khudko ki sab sahi hai... Pata nahi yaar zindagi aisi hai ya main aise hi jee raha hun.. Bolte hai mujhe main phekta bahut hun.. Main bhi manu main phekta bahut hun.. Par koi nahi sunna chahta main aisa kyun ho.. Are sunlo mere paas bhi kuch nahi hai … phir bhi tumhe dar na lage thoda sa himmat ke liye bol deta hun... Phir main pura karne ke liye apni jaan Laga deta hun... Pata nahi main aise kyu...